Ae Dost Mit Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main
Is Daur-e-Dosti ki Dawa Ho Gaya Hun Main

Qayam kiya Hai Maine Adam k wajud ko
Dunya Samajh Rahi Hai Fana Ho Gaya Hun Main

Himmat Buland Thi Magar Uftad Dekhna
chupchap Aj Mahw-e-Dua Ho Gaya Hun Main

ye zindagi Fareb-e-Musalsal Na Ho kahin
Shayad Asir-e-Dam-e-Bala Ho Gaya Hun Main

Han kaif-e-Bekhudi ki Wo saat Bhi yad Hai
Mahsus kar Raha Tha Bda Ho Gaya Hun Main..

0 comments:

Post a Comment