Samajh Jaate Han Lekin Deir Se Ham Daao-Pech Us Ke
Wo Baazi Jeet Jaata Hai Mere Chaalaak Honey Tak..!!.

                       ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                               Yeh Kesay Phool Khilaye Hain Mere Chaar Su
Yeh Kesay Phool Khile Hain Mere Chaar Su
Ke Bajaye Mehak Ke Tapish Aa Rahi Hai..!!..

 ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*



Kabhi Kabhi To Badan Toot'ta Hai Yun Jaise
Main Thori Dair Main Masmaar Hone Wala Hun!

                ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                                                    Samajhne Wala Koi To Hota.....
Udaas Dil ki Udaas Baaten
Samajhne Wala Koi To Hota

Ke jiski Baton Se Dil Sambhalta
ke Jiske Sath Kuchh Dil Behelta 

Ke Jiski Halki Si Ek Jhalak Bhi
Hamare Dukh Ko Smeit Deti

Jiski Nazuk Si Muskurahat
Hmare Ahsason Ko Door Karti

Ya Phir Chamakti Wo Aankhein Uski 
Hamari Hasti Ka Raaz Hotin 

Hamare Dukh Ki Kitaab Hota 
Jo Hamko Chahta Jo Hamko Parhta

Guzarte Lamhon Ki Sakhtiun Me 
Koi To Nazuk Mizaaj Hota! 

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*


Nahi Main Muhtaaj Dunia Ka Ek Tere Siawa Ya Rab ..........,
Mere Sazde Qabool Kar Le Meri Saans Ke Tootne Se Pehle !!

                                       ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*

                                           Mehsoos Hua Vo Aaya Hai Andaz Usi Ke Jaisa Tha..
Tez Barish Ki Bondo Ne Jab Dastak Di Darwaze Par 
Mehsoos Hua Vo Aaya Hai Andaz Usi Ke Jaisa Tha

Hawa Ke Halke Jhonko Ki Jab Khirki Par Aahat Si Hui  
Mehsoos Hua Vo Aaya Hai Andaz Usi Ke Jaisa Tha

Ham Tanha Chale Jab Barish Me Ek Jhonke Ne Jab Sath Dia 
Mehsoos Hua Vo Sath Me Hai Ahsas Usi Ke Jaisa Tha 

Phir Ruk Si Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Aahat Bhi 
Ham Samajh Gye Vo Chhor Gya Andaz Usi Ke Jaisa Tha

   ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*



Kya Qyamat Hai Udaas Lamhe Bhi 
Zidgi Me Shumar Hote Hain..((..!!..

               ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*

                                          "Awesome Leave Application By a Boy"
O Master G 

When i come come 
.
.
.
Rain pda cham cham 
.
.
I fisla
.
.
.

I gira dham 
.
.
.
Niche my bag 
.
.
.
Upar was hum 
.
.
.
Isliye today
.
.
.
I will not come...

    ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*

Zindagi Ki Har Fizaon Me Yad Rakhna
Dil Ki Adaon Me Yaad Rakhna
•*´ •* . ▇ ▆ ▄ ▂──............... •*´ •* . ▇ ▆ ▄ ▂──...............
              Apka Yehi Tohfa Bohat Hai Hmare Liye
              Khalos-E-Dil Se Duaon Me Yaad Rakhna!..H..

                     ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                                         Hoslay Thay Deed Ke Qabil.....
Shaheedan-e Karbala ke Hosle The Deed ke Qabil 
Wahan Par Shukar Krte The Jahan Par Sabr Mushkil Tha!

  ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*


Zindagi To Apne Hi Qadmon Pe Chalti Hai "Mumtaz"
Auron Ke Share To Janaze Utha Karte Hain! 

                     ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*
Na Jane Kyun Hum Itne Bade Ho Gaye......
Woh Bhi Kya Din The
Mumma Ki Goad Or Papa Ke Kandhe
Na Koe Soch Na Life Ke Funde
 Na Kal Ki Chinta Na Future Ke Sapne

But Now
Kal Ki Hai Fikar Or Adhure Hai Sapne
Mud Kar Dekha Toh Bahut Dur Hain Apne
Manzilo Ko Dhundte Hum Kaha Kho Gaye 
Na Jane Kyun Hum Itne Bade Ho Gaye!

  ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*


SaaQi Hame Bhi Chahiye Ek Jaam-e Aar-zu
Kitne Lagen-ge Daam Zara Aan-kh To Mila!

           ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*
                                                      Itna Dil-kash Hai Ke.........
Sangay Mar-mar Se Tarasha Hua Ye Shokh Badan
Itna Dil-kash Hai Ke Apnene Ko Jee Chahta Hai...

~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*


Ham Uski Baat Isiliye Nhi Thukrate "Mumtaz"
Us Shaks Ke Ham Par Bhi To Ahsan Bohot Han 

                       ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*
                                    Waasta ..........Door Ka Rakhna...............
Yeh Qurbatein To Bohat Imtihan Leti Hain 
Kisi Se Waasta Rakhna To Door Ka Rakhna...

         ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*


Mere  Duniya Se Chale Jane Pe Bhi Kisi Par Fark Na Hoga
Bas E-ik Tanhai Royegi Ke Mera Hamsafr Chala Gaya...

                      ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*
                                        Her Pal Vo Rahe Tum Se Khafa Kaisa Lage Ga
Ban Jaye Koe Tum Sa Tumhe Kaisa Lagay Ga
Her Pal Vo Rahe Tum Se Khafa Kaisa Lage Ga

Tum Pyar Main Khud Ko Bhi Mitane Pe Ho Raazi
Ban Jaye Agar Pyar Saza Kaisa Lage Ga

Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi Par
Woh Shakhs Hi Bhula De To Tumhe Kaisa Lage Ga

Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Ban Ke Jalo Phir
Tanhai Mile Tum Ko Sila Kaisa Lage Ga...

 ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*



Ham Likhte Han Jo Bhi Vo Parh Lete Ho Aksar
"Has..n..."
Kia Khoob Samjhte Ho Lafzon Ki Zuban Tum..... 

                       ~*~ ~*~*Arzkiya Hai ~*~~ *~*
Mai hi kafi hun unki ulfat me tadapne kelea
Unka tamaam dard-o-gham ahqar ko atakar

 ~*~ ~*~*Awesome~*~~ *~*




Ab Tak Utarte Han Wahan Khushbu Ke Qafile
Bhoole Se Likh Diya Tha Tera Naam Jis Jagah..


                        ~*~ ~*~*Arzkiya Hai ~*~ ~*~*
Yun Kisi Ke Haq Me Bura Na Ho.....
Mere Saath Tum Bhi Du-a Karo Yun Kisi ke Haq Me Bura Na Ho 
Kahin Aur Ho Na Ye Haadsa Koi Raaste Me Juda Na Ho 

Mere Ghar Se Raat Ki Sej Tak Wo Ek Aansu Ki Lakeer Thi 
Zara Badh Ke Chand Se Puchhna Wo Isi Taraf Se Gaya Na Ho,

Sar-E-Shaam Thehri Hui Zameen Aasman Tha Jhuka Jhuka
Usi Mod Par Kisi Ke Waaste Wo Chirag Le Kar Khada Na Ho 

Wo Farishte Aap Hi Dhundiye Kisi Na Kisi Kitaab Me
Jo Bura Kahein Na Bura Sune Koi Shakhs Unse Khafa Na Ho

Wo Visaal Ho Ke Firaaq Ho Teri Aag Mehkegi Ek Din 
Wo Gulaab Ban Ke Khilega Kya Jo Charaag Banke Jala Na Ho

   ~*~H~*~*Arzkiya Hai ~*~~N*~*


Usse Kehna Hamne Seekh Lia Hai Ab Tanha Rehna
Usse Kehna Bas Ab Wo Lot Ke Aane Ka Tkalluf Na Kare..

               ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                     Aatish-E-Shoaq Main Jal Janay Ko Jee Chahta Hai....
Haathon Main Pighal Janay Ko Jee Chahta Hai
Aatish-E-Shoaq Main Jal Janay Ko Jee Chahta Hai

Ho Koe Raz Jiski Sargoshi Bhi Karna Chahoon
Phir Wohi Raaz Chupane Ko Jee Chahta Hai

Dil Ye Chahe Ke Teri Duniya Main Rahun Kuchh Roz
Phir Usi Duniya Se Nikal Janay Ko Jee Chahta Hai

Wehshat Abad Makanon Main Nahi Jee Lagta
Sheher Se Kahin Door Jane Ko Jee Chahta Hai

Hum Say Yeh Rasm Ki Zanjeer Bhi Kab Toot Saki
Dil Ki Zidd Par Bhi Machal Janay Ko Jee Chahta Hai

~*~~*~*Arzkaiya Hai ~*~~*~*




Wo Naraaz Hota To Use Mana Laite
Wo Ta'alluq Hi Na Rakna Chahe To Use Manayen Kaise..

                             ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*

                                                         Mujh Se Gila Kya Hai............
Tum Khafa Kyoun Ho
Mujh Se Gila Kya Hai 

Achanak Be Rukhi Itni 
Batao To Hua Kya Hai 

Manaaun Kis Tarah Tum Ko 
Mujhy Itna Tu Batla Do 

Agar Ab Ho Saky Tum Se 
To Ye Ehsan Farma Do 

Meri Manzil Hue Gum Hai
Mujhy Manzil Pe Pohncha Do

Has.....n
Btao To Hua Kya Hai
Tumhe Mujh Se Gila Kya Hai...?


~*~~*~*Arzkaiya Hai ~*~~*~*




Hamne Jabb Bhi Koshish Ki Mnane Ki Use
Dil Ne Yhi Kha Vo Achha Lgta Hai Khafa Khafa

        ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Itna Bheegta Hua Anjam Kis Ka Tha.....
Kuchh Roz Se Tumhare Ghar Qayam Kis Ka Tha  
Na Tha Koi Mehman To Ehtemam Kis Ka Tha  

Likh Likh Ke Choomtay Rahe Jis Ko Raat Bhar 
Humein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha  

Jis Ko Sun Ke Ro Pary Ehle-E-Mehfil 
Itna Bheegta Hua Anjam Kis Ka Tha..

  ~*~H~*~*Arzkiya Hai ~*~N~*~*




Kisi Ne Di Nahi Awaaz Mujh Ko
Magar Phir Bhi Yahan Rukna Para Hai..!..!

             ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*