Bichhar Ke Bhi Wo Kahin Phir Sada Na De Mujko..........
Mai Es Khayal Se Mur Mur Ke Daikhta Hun Use
Bichhar Ke Bhi Wo Kahin Phir Sada Na De Mujko

Kisi Ka Dil Dukha-kr Bhi Mai Zinda Rahun
Ye Hosla Bhi Dua Kar Khuda Na Dai Mujko

Ham Es Liye Bhi Use Khud Manayenge  "Mumtaz" Ke 
Muddaton Se Rooth-ne Wala Kahin Baddua Na Dai Mujko,  

~*~H~*~*Arzkiya Hai ~*~N~*~*


Khoobsurat Tha Is Qadar Ke Mehsos Na Hua,-
Kaisay?
Kahan?
Aur kab?
Mera Bachpan Chala Gaya..!!..!!..

        ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
    
Jo Dete Hain Ladkiyon Ko Tohfe
Jo Dete Hain Ladkiyon Ko Tohfe
Wo Late Hain Unki Shaadi Me Sofe
.
Jo Jate Hain Ladkiyon Ke Pichhe
Wo Aate Hai Caro Ke Neeche,
.
Jo Kehte Hain Ladkiyon Ko “Jaanu”
Wohi Bante Hain Baacho Ke Mamu!!! 

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*


Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,
•*´ •* . ▇ ▆ ▄ ▂──............... •*´ •* . ▇ ▆ ▄ ▂──...............
            Wo Pal B Ayega Jiska Intzar Hai Aap Ko,
            Rab Par Bhrosa Or Waqt Pe Aitbar Rakho…!

                   ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Kar Ke Tum Solaah Singaar.........
Bazm Mein Aao Kisi Din Kar Ke Tum Solaah Singaar
Ek Qayaamat Waqt Se Pahale Bhii Aani Chaahiye 

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*


Me Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hun
“Mohsin"
Kisi Ka Raat Bhar Jalna Mujhe Achha Nhi Lgta


           ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Phool Wafa Ke Khil Jaen Ge.......
Mene Pocha Kese Ho
Badle Ho Ya Wase Hi Ho

Roop Wohi, Andaz Wohi
Ya Phir Is Me Koi Kami

Doori Ka Kuchh Ahsas To Hoga
Koi Tumhare Pass To Hoga

Me Bichhra Ye Majbori Thi
Kab Manzoor Mujhe Ye Doori Thi

Sath Hamara Kab Chhoota Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai

Aankh Se Jo Aansoo Behte Hain
Tum Ko Khabar Hai Kia Kehte Hain

Mene Kaha Aawaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Hamraaz Humari

Phool Wafa Ke Khil Jaen Ge
Ek Din Hum Phir Mil Jaen Ge

        ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*


Mar Bhi Jaun To Kahan Log Bhula Hi Dein Ge
"Sirf"
Lafz Mere, Mere Honey Ki Gawaahi Dein Ge

      ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Yun Door Door Ham Se
Kab Tak Raho Gy Aakhir
Yun Door Door Ham Se

Milna Pare Ga Akhir
Ek Din Zaroor Ham Se

Daman Bachany Wale
Ye Be-Rukhi Hai Kesi

Keh Do Agr Hua Hai
Koi Kusoor Ham Se

Ham Chheen Lain Ge Tum Se
Ye Shan-E-Beniyazi

Tum Mangty Phiro Ge
Apna Guroor Ham Se

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*

Tu Haira Na Hua Kar Hmare Yad Karne Par
Ta-alluq jin Se Dil Ka Ho Wo Aise Hi State Han

       ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                                                                            Vo Khafa Achha Lga.......
Socha Bohot Hmne Usko Mnane Ke Liye
"Lekin"
Vo Khafa Achha Lga Hmne Khafa Rhne Diya

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Main Khush Hun Ke Tumhari Nafraton Ka Akela Waris Hun 
Muhabat To Tum Ko Bohat Se Logon Se Hai.! Has.....n

                    ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                                                                   "SALAM" Hai Mera
 Jisne Shayar Bana Diya Mujhko 
Uske Gham Ko "SALAM" Hai Mera

 ~*~H~*~*Arzkiya Hai ~*~~N*~*

Jab Bhi Mai Sochne Lagun Tanhai Me Kabhi,
Markooz Tujh Pe Rehta Hai, Nuqta Khayal Ka..!!


~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                   Humain Fursat Nahi Milti
Hum Tasleem Kartey Hain
Humain Fursat Nahi Milti 
Magar
Ye Bhi Haqiqat Hai
Tumhain Jab Yaad Kartey Hain
Zamana Bhool Jatey Hain... 

 ~*~H~*~*Arzkiya Hai ~*~N~*~*



Khizaan Ki Gard Main Ya Mosam-e-Bahar Main Hun
Ye Kaisa Mor Hai Main Kis Ke Intazar Main Hun,

                  ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Mgar Ham Yaad Aayenge
Bhulaoge Lakh Tum Hmko, Mgar Ham Yaad Aayenge
Ham Tark-e Ulfat Par Bhi Tumko Yaad Aayenge

Nhi Aayenge Yaad Tumko Maheeno Tak Na Aayenge
Mgar Jab Yaad Ayenge To Aksar Yaad Aayenge

Dino Hafton Na Shi Lekin Kabhi To Yaad Aayenge
Suno! Hm Yaad Aayenge, Kabhi To Yaad Aayenge..
Ye Duniya Kitni Chhoti Hai Na 
Bas Uspe Aa Kar Ruk Si Gai

 ~*~~Arzkiya Hai ~*~~
Wo Jis Khaloos Se Mujh Ko.....
   Maana Ke Mujhse Khafa Raha Hoga
Wo Shaksh Mujhe Bhula Raha Hoga

Mein Ussy Utni Hi Shidat Se Yaad Aaonga
Wo Jis Khaloos Se Mujh Ko Bhulaa Raha Hoga..

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*


Mana ke Marne Walon ko Bhula Dete Han Sabhi Log
Par Mai To Abhi Zinda Hun Phir Usne Kyun Bhula Diya,

            
                 ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                                                                    Meri Sham-e-Tanhai...  
Akele Hun Magar Abaad Kar Leta Hun Veerane
Buhat Roye Gi Mere Baad Meri Sham-e-Tanhai,

              ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*  

                                                               Har Raat Guzarti Hai........
Har Raat Guzarti Hai Sitaron Ke Darmiya
Mai Chand To Nahi Magar Tanha Zaror Hun,

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Yun To Apni Halat Ka Ehsaas Nahi Hai Mujhko
Lekin Auron Se Suna Hai Ke Pareshan Hun Main,

                  ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Likha Kab Tal Saka Hai Jo Khuda .....  Roz-E-Azal Likh De
 Ye Mumkin Hai Ke Tujh Koi Aaj Koi Kal Likh De
Bahut Mushkil Hai Tujh Pe Koi Mujh Jaisi Ghazal Likh De

Baharan Chaar Soo Hai Aur Mila Daar-O-Rasan Mujh Ko
Meri Tahreer Ki Shaakhoun Pe Moula Koi Phal Likh De

Bure Anjaam Se Darta Tha Aur Ab Bhi Pareshaan Hoon
Juda Mat Kar Ya De De Mout Ya Phir Koi Hal Likh De

Bahut Aasaan Ra-Hain Theen Jo Ab Dushwaar Lagti Hain
Tu Nafrat Ka Mohabbat Se Zara Radd-O-Badal Likh De

Jo Hona Hai Wohi Hoga Yehi Dastoor-E-Zmana Hai
Likha Kab Tal Saka Hai Jo Khuda Roz-E-Azal Likh De

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*




Ujarnaa Kis Ko Kehte Hain Dil-e Nadan Se Puchho
Jo Basti Me To Rehta Hai Magar Veerana - Veerana...

           
              ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
                          
    Mujhe Achha Laga “Mohsin” Tujhe Pa Kar Ganwa Dena..
Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena    


Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena


Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena


Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena


Main Tujhse Duriyan Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena


Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena


Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena


Mujhe Achha Laga “Mohsin”
Tujhe Pa Kar Ganwa Dena
...

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Woh Ek Baat Bohot Talakh Kahi Thi Usney,
Baat To Yaad Nahi, Yaad Hai Lehja Uska,

       ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Kaisi Khamosh Eid Thi,Jo Aai or Chali Gai,

Na Kisi Ki Deed Hui Na Kisi Se Eid Mile

Kaisi Khamosh Eid Thi,Jo Aai or Chali Gai,
Ham To Tumhe Dekh Na Payenge EID Ke Roz
Jo Bhi Tume Dekhega Usey Eid MUbarak,

   ~*~H*~*From Mumtaz ~*~N*~*
Idhar Se Chand Hum Dekhen
Udhar Se Chand Tum Dekho Idhar Se Chand Hum Dekhen
Nigaahain Bas Yu’n Takrayen Ke Do Dilon Ki Eid Ho Jaye,
                                     
  ~*~*~Arzkiya Hai~*~*~


Masoom Se Armaano Ki Masoom Si Duniyaa Ko
Jo Kar Dete Han Ek Pal Me Barbaad Unhain Eid Mubaarak …!
                      ●▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬●
           
Tum Ab Is EID Sy Pehle
                                                                                  Zara Sa Muskara Dena 
Tum Ab Is EID Sy Pehle

Her Ek Gham Ko Bhoola Dena
Tum Ab Is EID Sy Pehle

Kitaabon Me Saja Lena 
Zara Do Chaar Phulon Ko 

Hawaaon Ko Bhi Saja Dena 
Tum Ab Is EID Sy Pehle

Mere Sab Shairy Sab Nazmen 
Na Abse Dil Me Tum Rakhna

Meri Yadon Ko Bhula Dena
Tum Ab Is EID Sy Pehle

Hazaaron Meel Ki Duri Sahi 
Par Men Lout Aaonga

Mujy Dil Se Sadaa Dena
Tum Ab Is EID Sy Pehle

~*~*~Zara Sa Muskara Dena.... Tum Ab Is EID Sy Pehle~*~*~
Khushiyon Se Hamknaar Raho Tum Ta’hayaat,
Har Roz Roz-E-Eid Ho, Har Shab Shab-E-Baraat..
             ●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●

Toot Kar Bhi To Chaha Tha Kabhi .........    Usne...
 Ab Agar Vo Nazar Andaz Krta Hai To Kyun Gham Hai Tujhe
                                                       "Mumtaz"
                                                    Toot Kar Bhi To Isi Qadar Kabhi Chaha Tha Tujhe Usne,

Jane Kyoun Afsurdagi Si Hai
Jane Kyoun Ahsaah Sa Hai
Wajah-e-gham To Kuchh Bhi Nhi
'Phir Bhi'
Jane Kyoun Dil Par Bojh Sa Hai
  ●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Doobe Na Kbhi Mera Safeena Likh De
       Qismat Me Meri Chain Se Jeena Likh Se
   Doobe Na Kbhi Mera Safeena Likh De
Jannat To Thikana Hai Magar
Duniya Me Ain Katibe Taqdeer Madeena Likh De.....

~*~*~Qismat Me Meri Chain Se Jeena Likh De~*~*~


Chand Raat Darasal Allah Ta,Ala Ki
Taraf Say Un Roza Daroon K Ley Inaam Hai,
Jinhoon Na Gunahoon Say Bachtay
Hoey Quran Suna Aur Qayam Kia...
     ●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●