Hazaro Zulm Sahkar Bhi Na Laye Aankh Me Aansu
Hum Ahl-e-zarf Han Peete Han Chalkaaya Nahi Karte...
                                             
                                ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
 Jinhain Khushi Ki Khatir Log .....
Insano Ki Qeemat To Logo Ki Nazron Me
Gulab Ki Un Pat'tiyon Ki Tarha Hai ..
"Mumtaz"
Jinhain Khushi Ki Khatir Log Qadmon Me Bichha Dete Hain...!..

~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*

Kya Us Se Chupaaon Nahi Ghair Bhi Itna,
Kya Us Ko Bataaon Mera Apna To Nahi Hai..
!!


                     ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Samandar K Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta ..
Usse Kehna Palkon Pe Na Taane Khawab Ki Chaadar
Samandar K Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta

Faqat Tum Hi Se Karta Hon Main Sari Raaz Ki Baten
Har Aik Ko Dasntan-e-dil Suna Kar Kuch Nahi Milta

                                                                          ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*


Ye Jo Chehre Se Ab Lagte Hain Beemar Se Hum 
Bahut Roye The Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum!
                   
                  ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*
Ham Ek Roz Juda Ho Jayenge......
Ek Roz Juda Ho Jayenge
Na Jane Kahan Kho Jayenge

Tum Lakh Pukaro Ge Ham Ko 
Awaz Na Ham Sun Payenge

Jab Rat Ko Sone Jaoge
Pegham Koe Na Paoge

Tahreer Hmari Dekhoge
Na Uske Siwa Kuchh Paoge

Tab Yaad Tumhain Ham Ayenge 
Per Lot Ke Ham Na Ayenge 

Ek Roz Ye Rishta Chootega 
Phir Koe Na Tumse Ruthega

Ilzaam Na Tum Par Aayenge
Phir Dil Na Tumhara Totega 

Tab Ham Na Aankhein Kholenge 
Tum Se Bhi Kabhi Na Bolenge 

Chup Chap Se Ham So Jayenge
Door Tumse Bohot Ho Jayenge

Tum Bhi Phir Ham Ko Kho Doge
Akhir Us Din Tum Roo Doge

Ilzaam Na Tum Par Aayenge .....Ek Roz Juda Ho Jayenge..

 ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*




Uske Yaad Karne Pe Ye Mahsoos Hua Ke Bhulaya Nahi Abhi
Ham Azeez To Abhi Bhi Han Usko Mgar Fursaton Ke Baad!

                           ~*~~*~*Arzkiya Hai ~*~~*~*